Rise Again: Turning Every Setback into a Powerful Comeback

(From Struggle to Success: J.K. Rowling's Unforgettable Life Story)
Aap ne Harry Potter ka naam tu suna hi hoga. Lekin kya aap jaante hain ke is magical dunia ke peechay ek aisi woman ka struggle chhupa hai jise logon ne bar-bar reject kiya, jo depression aur poverty ka shikar rahi, aur phir bhi kabhi give up nahi kiya?
Yeh kahani hai — J.K. Rowling, duniya ki pehli billionaire author ki.
J.K. Rowling ka asal naam hai Joanne Rowling. Wo 31 July 1965 ko England mein paida hui.
Bachpan mein hi unki imagination bohot strong thi. Lekin unka personal life easy nahi tha. Unke parents ke darmiyan issues thay, aur unke ghar ka mahaul stressful hota gaya.
Rowling ne Oxford mein admission lene ki koshish ki — lekin woh select nahi hoin. Unho ne Exeter University se graduation ki, aur phir teaching jobs ki taraf ge.
Rowling Portugal chali gayi jahan unho ne ek local journalist se shadi ki. Unki ek beti hui — Jessica. Lekin yeh shadi jaldi toot gayi. Divorce ke baad Rowling UK wapas aayi — ek single mother, berozgar, aur depression ka shikar.Woh kehti hain:
"I was as poor as it is possible to be in modern Britain without being homeless."
Ek din train ke safar ke dauraan unke zehan mein Harry Potter ka idea aaya — aik ladka jo wizard hai, jise nahi pata ke woh magician hai. Ye idea unke liye therapy ban gaya.
Wo din raat likhti rahi, coffee shops mein jaa kar notebook mein likhna shuru kiya — jabke unki beti Jessica unke sath hoti thi.
Rowling ne jab Harry Potter and the Philosopher’s Stone complete kiya, tu usay 12 publishers ne reject kar diya.
Reasons:
“Too long.”
“Children won’t read it.”
“You’re not a known author.”
Lekin Rowling ne himmat nahi haari.
BUT… phir kya hua?
Word of mouth se Harry Potter hit ho gaya. Bachay aur baray sab is story se connect karne lage.
Aaj Harry Potter:
7 books, translated in 80+ languages
Over 500 million copies sold
8 blockbuster movies
Theme parks, merchandise, and billion-dollar brand
Rowling ne ek waqt mein government se welfare support liya. Aaj woh:
World’s first billionaire author hain
UN Women supporter
Apni charity, Lumos Foundation ki founder hain
Apne kuch earnings donate bhi kar chuki hain — jisse unka billionaire status temporary chala gaya
Kabhi give up na karo – 12 baar reject hone ke baad bhi unho ne likhna chhoda nahi.
Aqal aur tasawwur (imagination) mein taqat hoti hai – unka idea duniya ne kabool kiya.
Struggle temporary hoti hai, agar aap fight karo.
Books bhi duniya badal sakti hain – agar dil se likhi jayein.
J.K. Rowling ki kahani har us shakhs ke liye hope hai jo depression, financial struggle, ya rejection ka samna kar raha ho.
Agar aap mein lagan hai, toh duniya aap ke words, ideas, aur sapnon ka intezaar kar rahi hai.
Likhiye, kijiye, aur kabhi give up mat kiji.
Good ๐
ReplyDelete