Rise Again: Turning Every Setback into a Powerful Comeback

Self confidence yaani apne aap par bharosa — ye har kamyabi ki buniyad hoti hai. Lekin kai log is kami ka shikaar hote hain. Achha bolna, naye logon se milna, decision lena — sab kuch mushkil lagta hai jab self confidence low ho.
Aaj ke blog mein hum baat karenge: "Self Confidence Kaise Badhayein?" Taake aap apne andar chupi hui taqat ko pehchaan sakein.
Har kaam negative soch ke saath mushkil ho jata hai. Jab aap sochte hain "main nahi kar sakta", to confidence khatam ho jata hai.
✅ Rozana positive affirmations boliye
✅ “Main kar sakta hoon” ka jazba rakhiye
Chhoti chhoti achievements se confidence build hota hai.
✅ Daily goals likhein
✅ Ek ek kar ke pura karte jaayein
Ye aapko success ki feeling dega, jo confidence ka fuel hai.
Social media ya logon se compare karna sirf pressure badhata hai.
Apne journey pe focus karein.
✅ “Main pehle se behtar ho raha hoon” yeh soch rakhein.
![]() |
"Believe in yourself - yahi hai asli taqat" |
🔷 4. Body Language Improve Karein
Aapka posture, eye contact aur smile bhi confidence badhate hain.
✅ Seedha kharein
✅ Aankhon mein aankhon daal ke baat karein
✅ Smile rakhein – yeh self-assured dikhata hai
Jitna zyada aap seekhte hain, utna zyada aapko apne upar bharosa hota hai.
✅ Roz thoda kuch naya padhein
✅ Apni field se related skills develop karein
Jo cheez se aap darte hain, usay face karne ka iraada banaiye.
✅ Public speaking se darte hain? Chhoti audience ke saamne practice karein.
✅ Naye logon se milne mein hesitation hai? Roz aik naya “Hello” bolne ka target rakhein.
Self confidence overnight nahi badhta — lekin aap har din chhote steps le kar isay develop kar sakte hain.
Apne aap par yakin rakhein, galtiyon se seekhein aur kabhi give up na karein.
Aap ke andar wo taqat hai jo aapko duniya ke samne khud par fakhar mehsoos karwaye .
Comments
Post a Comment